April 09, 2017

Maa ki nanhi kali

Aapke angan mein, ek nanhi kali banke khili
Aapki ungli pakad ke fir main yun chalne lagi
Chalna, girna, girke uthna, fir se chalna aapse seekha
Apne andar ki shakti ko maine apki aankhon mein dekha
Khilkhilana, hasna, rona har pal maine aapko paya
Chahe ho woh chot bachpan ki, ya hi dil ka tootna
Aapko hamesha saahas banke maine apne sath paya.

Aapke angan mein ek nanhi kali banke khili
Aapse se hai meri duniya, aapse se hi har khushi !

3 comments: