Ghar mein jiske kadam pade toh nanhi pari ban jati hai,
Hansi khilkhilahat se fir mata-pita ki duniya mehkati hai.
Hansi khilkhilahat se fir mata-pita ki duniya mehkati hai.
Chhoti-chhoti aankhon mein sapne woh bade-bade sajati hai,
Fir Savitri, Sarojini, Kalpana aur Malala ke roopon mein nazar aati hai.
Fir Savitri, Sarojini, Kalpana aur Malala ke roopon mein nazar aati hai.
Pyar kare toh Radha jaisa, bhakti kare toh bane woh Meera,
Sangini mein woh Parvati hai, aur tyaag mein bane woh Sita.
Sangini mein woh Parvati hai, aur tyaag mein bane woh Sita.
Kabhi maa, kabhi beti bani hai,
Kabhi behan, toh kabhi sakhi bani hai.
Hain jitne rishte duniya mein, un sab rishton mein buni-gadhi hai.
Naari ki mahima kya kahe ‘aks’, naari se hi yeh duniya bani hai!