Agyaanta ki andheri galiyon mein kahin achet tha,
Par ab jaag chuka hun main!
Nirmamta ki sooni sadakon mein bhatak raha tha,
Par ab jaag chuka hun main!
Prem ki nishchalta se duur,
Apni hi anant trishna mein dooba hua tha,
Na svyam ki pehchaan thi, Na iss sansaar ka dhyan tha,
Na jaane kis chakravyuh mein uljha hua mera mann aviraam tha.
Par ab aalokit hui hai mann-mashtishk mein sacche prem ki paribhasha,
Ab hai yeh jaana ki manavta se hi hai sabke hitt ki asha,
Pulkit hui hai ab kuchh karne ki prabal jigyasa,
Kar duur svyam ko abhiman se,
Ab jaag chuka hun main !